Durga bani, bani ambe
Bane woh kabhi kali ma
Har naam ke alag bahane bane
Har dukh harne ek Baan bana
Lakshmi banke sukh diye
Saraswati banke di vidya
Durga ban rakshas vadh kiye
Shakti Roop bani kali ma
Har Roop main kiya udhar
Shakti banke rakshak bani
Khali haath jo pahuncha darbaar
Uski hui Har muraad puri
Samjhe yeh baat gehrayi se
Har woh moorkh insaan
Putra prapti ko jo tarse
De ajanmi ladki ka balidan

कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें