सोमवार, 30 अगस्त 2021
Happy birthday kannah
बुधवार, 25 अगस्त 2021
Woh barish ka paani
Barish ki awaz sunte sunte
Chali purani galiyon main.
Saalon ke lamhe samet te
Doobti gayi un yaadon main
Garma garam pakodo ka dhuan
Ya barish main ice cream ka Mazaa
Woh pehli barsaat main bheegna
Woh jawan si khilti fazaa
Woh thandi hawa ka chalna
Woh sham ke badal niharna
Woh phoolon ka mehekna
Woh chidiyon ka chahakna
Woh bhare pani main football
Khelte khilkhilate bahut hasna
Woh baarish se aansoo chupana
Woh agli barish ka intezaar karna
Har boond main simti yaad
Har yaad main muskurana
Reh gayi ab aankhen sirf nam
Kaash phir laute woh zamana
Girgit aur hum
Is bhare maidan main
Kaun apna kaun paraya
Halke se andhere main
Apna saath chodta apna saaya
Rang badalte rishtey aise
Girgit bhi soch main aaye
Seekhe yeh gun kahan se
Jiske liye log hamare gun gaaye
Rishtey halke hote gaye
Bhari hua sabka dil
Bandhan saare khote gaye
Suni hui zindagi ki mehfil
Andhere se dhaka mann
Gehri neend main insaan
Khoye raaste main hum
Huye khud se hum hairan
मंगलवार, 17 अगस्त 2021
2 nishan
Khel khele bhagwan
Upar baithe muskuraye
Neeche machle insaan
Har mod par dagmagaye
Soche main akela chala
Dekhta na doosre nishan
Jab khushiyon ka mausam dhala
Tab yaad aaya bhagwan
Kose tab ram Rahim ko
Yaad dilata unko unka vada
Girun kahin, ya haar saamne ho
Tum rahoge saath sada
Bolta raha unse rooth kar
Ek hi nishan hai chalne ke
Bas mujhe haara jaankar
Fera mooh aur chal diye
Hanse bhagwan , khilkhilaye
Bole bhole zara jhuk ke to dekh
Wohi ek nishan hai mere charno ke
Kandhe pe mere baitha tu zara dekh !!
Hun main hamesha saath tere
Har pal aur Har mausam
Jahan dikhe pav ke nishan mere
Samjho nibhaya apna vachan
सोमवार, 16 अगस्त 2021
Moh maaya
Aaj khushiyon ka taj hai
Kal dukh ka saaya hai
Itna soch na bande tu
Yeh sab moh maaya hai
Halki kashti ko dekhke
Dost ne hi usse dubaya hai
Na rishton main ulajh itna
Yeh sab moh maaya hai.
Aaj hai aage tu yaar
Peeche tere Haar ka saaya hai
Pare ho is haar jeet se
Yeh sab moh maaya hai
Hai yeh khel karmo ka
kismet se na paaya hai
Hisaab rakh le bas itna sa
Baaki sab moh maaya hai
