शुक्रवार, 19 नवंबर 2021

दोस्ती

 मुस्कुरा रही थी मैं कल रात

देखा गाल गीले से हैं

क्या पता क्या हुई थी बात

जो आंखों से आंसू चल पड़े हैं


दोस्ती का मतलब पूछा उसने

आंसुओं को भी हंसी आ गई

मिल जाए जो मतलब इसमें

तो टूट जायेंगे भ्रम बढ़े बढ़े



सोच ही रही थी मैं यह बात

की बड़े जोर से आवाज आई

देखा मेरा भ्रम पड़ा था टूटा

दम तोड़ती दोस्ती ही थी जो कल रात.....

हल्के से मुस्कुराई ।






 चले थे हम दोनो साथ साथ 

आया एक अकेला सा चौराहा

धीरे से छूटा उसका हाथ

मैं उससे मुड़ते हुए देखता रहा


किसीने उससे वक्त कहा

किसीने कहा वो दोस्त है

किसीने कहा वो बदल गया

कोई बोला मौका परस्त है


मुट्ठी की जोर से  बंद मैने 

दिल पर रख दिया पत्थर

आंसू को बहने दिया मैंने

मुस्कुराहट को न हटने दिया मगर


मंजिल पर निशाना बनी नजर

अर्थ समझा मछली की आंख का

अंतरात्मा को जिंदा रखा मगर

चोला पहन लिया आखरी राख का

गुरुवार, 28 अक्टूबर 2021

Chaos to Rest

 Are the surroundings so loud 

Or is it the noise in my head

Am I falling to the ground

Or is it my senses hanging on a thread 


Noises, chaos, strong emotions

Running in my mind amok

Breaking beliefs and notions

Putting me at questioning fork


Closing my eyes for direction

Hoping to get clear road ahead

Going beyond the crucification 

No more tears willing to be shed


The noise will eventually quieten

Soul will have no more regret

Emotions will no more frighten 

As I will lay down finally to rest 





शनिवार, 16 अक्टूबर 2021

Ummeed

 Kahani kissi ek chehre ki

Jhoojhta jo roz ek ladai

Doosro se, khud se kabhi

Kabhi lad baithe khud ki parchai 


Mashal leke Sachai ki

Koshish diya jalane ki 

Nadi ki dhar se takrake 

Koshish pathar ko pighlane ki


Ubad khabad ho safar 

Chahe bhari ho kathnaiya bhi

Tikki ho manzil par nazar 

Raah ho chahe tanhayi ki


Antim rekha par pahunchna hai

Daud ho bas khud se hi

Haare to phir uthna hai

Umeed ki umeed himmat se hi


Devi

 Aayi navratri ki dhoom

Har taraf rangon ki leher

Woh devi nanhi masoom 

Dhundti andhere main saher


Maile hath aur uljhe baal

Aankhon main gehri udasi,

Dekhti durga ka saaj shingar 

Bhook se hoti woh ruansi 


Koi ajanmi gayi maari 

Kahin kehlayi apshaguni 

Kissine nocha aatma ko uski

Kissi ki bezubaan rahi kahaani


Dassere ki sham diye jale

Ravan ka hua sareaam sanhaar

Khud ke Andar ravan le  chale 

Purush ka yeh kaisa anhakar 


Jis din liya ma ne shakti roop 

Shiv bhole ka jab ho tandav 

Durga, kali bane jab Har devi swarup 

Tab kya karega yeh manav 

मंगलवार, 12 अक्टूबर 2021

Durga ke roop

 Durga bani, bani ambe 

Bane woh kabhi kali ma 

Har naam ke alag bahane bane

Har dukh harne ek Baan bana


Lakshmi banke sukh diye 

Saraswati banke di vidya

Durga ban rakshas vadh kiye

Shakti Roop bani kali ma


Har Roop main kiya udhar 

Shakti banke rakshak bani 

Khali haath jo pahuncha darbaar 

Uski hui Har muraad puri 


Samjhe yeh baat gehrayi se

Har woh moorkh insaan 

Putra prapti ko jo tarse 

De ajanmi ladki ka balidan 


Papa ka janamdin

 Papa mere aaye kanha ke saath

Madhya ratri janmashtmi ka tyohar

Kanha jaisi Har ek baat

Vaise hi shant unka vyavahar 


Karam kiye ja apna

Fal ke baare main mat soch

Jo hua acha hua

Kar na kissi baat ka afsos 


Ladna padhe chahe apno se

Dharma ka saath na chod

Akela khada chahe ho ek chor pe

Sahi se rishta na tod



Bas ek baat reh gayi alag

Uski na padhi papa par parchayi 

Dhale jaise pure krishna jaise

Par seekhi na unki chaturayi 


Teer ki seedh par chalte 

Sach ki raah par Har din guzare

uski dhoop main chahe ho jalte 

Khara sona bane mere Papa pyare


Shunya se Shunya tak

 Thoda samajh lo dost

Kitna saral hai gita saar 

Jo aaj tera kal kissi aur ka tha

Parson kissi aur ka hoga yaar 


 Mrigtrishna main bhage sab

 Dikhe bhara hua nakhilistaan 

 Choote hi hota gayab 

 Rooh jalaye bhabakta registaan 


Shunya se shuru huye 

Badhavas sa insaan daude

Par 6 foot hi ant main lage

Shunya par aake har kahani ruke



Bappa aaye

 Aaye bappa mere pyare 

Saath varsha ki bauchar 

Sabki aankh ke dulare 

Basa Har dil main unka pyar


Modak bane ,bane ladoo 

Bana unke mann ka pakwan

Kapde sundar sunahare pehne 

Hawa main gunje unka dhyan 


Shankh, ghante ki ho puja 

Dhruva ,jaswant  ho arpan

Dhup deep jale sham subah

Lal kapda bane unka asan 


Hota hai saal bhar intezaar 

Bappa aayenge dhoom se

Khil uthta saara sansaar 

Jeevan khilta unke aagman se


Bappa

  Bappa aaye milne humse 

 Khatam hua intezaar 

Ghar saja phoolon se

Har din lage tyohar 


Roshni se jagmata ghar

Har kone main khushi 

Behti Har gali shubh leher 

Har phool par ho hansi 


Pal bhar main din beete 

Udti laddoo ki khusbhu

Dhup deep se Aarti kare

Bhajan mantra se Har din shuru


Aayi visarjan ki sham 

Nam aankhon se aansoo chalke 

Muskurahat par laga viram 

Par dhoom dham se dol baje


Khali asan dekh ke

Sehma sa sabka dil

Agle baras aane ka vada karke

Chal pade bappa apni manzil


 Samundra ke kinare baithe 

Badi Badi lehron ko takrate dekha

Zindagi ke is akhade main 

Unche unche logon ko jhukte dekha 


Har khel jeetne wale ko

Bebas haarte huye dekha 

Khud ko khuda samajhne wale ko

Pal main insaan bante dekha


Bura na manna mere yaar

Kismet ne yehi daanv pheka hai

Kehti yeh baat bahut baar

Kyunki 

Kai baar Jeet ko haar main badalte dekha hai


Chintiyon ki mehnat

 Baithi main ekant main

Mann ne bahut gote khaye 

Dekhti rahi kai raston ko

Koi to ek raah samajh aaye 


Dikhi chintiyon ki katar 

Daudti cheeni ka daana lekar 

Ekta main hai kitni dhar 

Sikhaya unhone ek jut hokar 


Nazar padi samundra par

Socha hoga kitna gehra

Seep saalon tak khati thokar

Tab milta usse moti sunahra


Kash himmat hoti apni bhi

Jhoojhte huye makde jaisi 

Uthe gire phir gire uthe 

Jeet tak chal nahi thakti uski 


Koyla bolo ya sona 

Heera bane ya kundan 

Saral tha na unka raasta 

Ghas ghas ke hua unka gathan



Ekta aur dhairya ko mili himmat

Piroye yeh moti mehnat ke saath

Inka saath hamesha deti kismet

Kamyabi thamti inka haath

 Baan jo chale nishane par 

Dhanush apni taar khinche peeche


Andhera ho jab sabse zyada gehra

Pehli Kiran ki roshni usse khinche peeche 


Kare jab sher apna shikar 

Do kadam apne khinche peeche 


Khiladi lagata jab lambi chalang

Khud ko pehle khinche peeche


Waqt jab Maare apni maar 

Insaan pal bhar to yeh soche 

Diye udharan zindagi ne kai baar

Us samay khudko khinche peeche


Aage tu badhega zaroor 

Nishane par teer lagega zaroor 

Daud jeetega tu zaroor

2 pal apne pair kheench to peeche !




Teri jeet meri haar

 Teri jeet meri haar

Meri jeet Teri haar

Kehte mujhe dost mere

Uthate yeh baat kitni baar


Dekh ke duniya ko

Taras khata dil mera

Jeet ki is ajeeb talab ko

Na samajh sake woh bechara


Kate chahe dil ke rishtey

Choote chahe apne yaar

Daudta bhagta badhavas main

Andheka kar baitha jeevan saar


Chalte chalte Har dagar

Pahuncha rekha ke us paar

Khada akela aakhri padav par

Is jeet main meri hi haar





 Bane tum vyapari 

Bane tum davedar 

Bahut kuch Bane tum

Dost na ban sake yaar



Hisaab kiye bahut tumne 

Baate sukh humne hazaar 

Nafa nuksaan lagaya tumne

Dukh baantna bhool gaye yaar


Hansi duniya hume dekh 

Choohe banke daude hum

Jeetega to koi ek

Par rahega to chooha hi na yaar 


Samjho abhi bhi tum

Saath mil door jayenge 

Tez chalenge akele magar 

Safar ka kaisa mazaa mere yaar 

 Kothon main bika koi

Kissi ki boli lagi bazaaron main

Foot Foot ke roya koi

Kissi ka gam chupa muskuraton main


Socha andhere main baithe

Kya kiya leke itna gyan 

Bechna hi tha aatma ko

To kis cheez ka itna guman


Bikte bikte itna gire 

Ki uthe na phir apni nazron main

Chehre laga ke dohre 

Kho gaye khud ke hi lafzon main


Ladai

 Kahani kissi ek chehre ki

Jhoojhta jo roz ek ladai

Doosro se, khud se kabhi

Kabhi lad baithe khud ki parchai 


Mashal leke Sachai ki

Koshish diya jalane ki 

Nadi ki dhar se takrake 

Koshish pathar ko pighlane ki


Ubad khabad ho safar 

Chahe bhari ho kathnaiya bhi

Tikki ho manzil par nazar 

Raah ho chahe tanhayi ki


Antim rekha par pahunchna hai

Daud ho bas khud se hi

Haare to phir uthna hai

Umeed ki umeed himmat se hi

सोमवार, 30 अगस्त 2021

Happy birthday kannah

Aaye kanha chupke 
Saari duniya jab soyi thi
Uske aane ki khabar sunke 
Kans ki neenden khoyi thi

Devki ne janna usse 
Paala yashoda maiya ne
Pedo ne bachaya dhoop se
Doodh pilaya gaiya ne

Bansuri ki dhun se
Saara ganv chahakta tha 
Maati ke kan Kan se
Gopal ka naam mehekta tha 

Dhundta raha kans mama
Krishna ko na pakad paaya 
Hui har koshish fana 
Aisi thi govind ki maaya

Khatam kiya krishna ne
Kans ka ghor atyachar 
Thi mukti uski maut main
Hua paap ka sanghar 

Andar ke andhakar ko
Khud ki lau hi jalaye
Samjha insaan jo is haar ko 
Asli jeet ka matlab wohi samajh paaye

बुधवार, 25 अगस्त 2021

Woh barish ka paani

 Barish ki awaz sunte sunte

Chali purani galiyon main.

Saalon ke lamhe samet te

Doobti gayi un yaadon main


Garma garam pakodo ka dhuan

Ya barish main ice cream ka Mazaa 

Woh pehli barsaat main bheegna

Woh jawan si khilti fazaa


Woh thandi hawa ka chalna 

Woh sham ke badal niharna

Woh phoolon ka mehekna 

Woh chidiyon ka chahakna


Woh bhare pani main football 

Khelte khilkhilate bahut hasna 

Woh baarish se aansoo chupana 

Woh agli barish ka intezaar karna


Har boond main simti yaad

Har yaad main muskurana 

Reh gayi ab aankhen sirf nam 

Kaash phir laute woh zamana

Girgit aur hum

 Is bhare maidan main

Kaun apna kaun paraya 

Halke se andhere main

Apna saath chodta apna saaya 


Rang badalte rishtey aise

Girgit bhi soch main aaye 

Seekhe yeh gun kahan se

Jiske liye log hamare gun gaaye


Rishtey halke hote gaye 

Bhari hua sabka dil

Bandhan saare khote gaye 

Suni hui zindagi ki mehfil 


Andhere se dhaka mann

Gehri neend main insaan 

Khoye raaste main hum

Huye khud se hum hairan 

मंगलवार, 17 अगस्त 2021

2 nishan

 Khel khele bhagwan

Upar baithe muskuraye 

Neeche machle insaan

Har mod par dagmagaye 



Soche main akela chala 

Dekhta na doosre nishan 

Jab khushiyon ka mausam dhala 

Tab yaad aaya bhagwan 


Kose tab ram Rahim ko

Yaad dilata unko unka vada

Girun kahin, ya haar saamne ho

Tum rahoge saath sada


Bolta raha unse rooth kar

Ek hi nishan hai chalne ke

Bas mujhe haara jaankar

Fera mooh aur chal diye



Hanse bhagwan , khilkhilaye 

Bole bhole zara jhuk ke to dekh

Wohi ek nishan hai mere charno ke

Kandhe pe mere baitha tu zara dekh !!



Hun main hamesha saath tere 

Har pal aur Har mausam

Jahan dikhe pav ke nishan mere 

Samjho nibhaya apna vachan




सोमवार, 16 अगस्त 2021

Moh maaya

 Aaj khushiyon ka taj hai

Kal dukh ka saaya hai 

Itna soch na bande tu

Yeh sab moh maaya hai


Halki kashti ko dekhke 

Dost ne hi usse dubaya hai

Na rishton main ulajh itna

Yeh sab moh maaya hai.



Aaj hai aage tu yaar

Peeche tere Haar ka saaya hai

Pare ho is haar jeet se

Yeh sab moh maaya hai


Hai yeh khel karmo ka

kismet se na paaya hai

Hisaab rakh le bas itna sa

Baaki sab moh maaya hai

मंगलवार, 27 जुलाई 2021

Pehchan

 Kya hun, kaun hun main

Kya hai meri pehchan 

Kis khoj main uljha main

Kisse karta kheench tan


Khud se samjhauta karta

Hota kitna majboor 

Khud ki ankhon main girta

Ja pahuncha bahut door


Bachpan ki woh masoomiyat 

Kho si gayi Umar ke saath 

Fisalti hui apni seerat 

De baithi mujhko hi jawab 


Raat din ke darmiyan faasle 

Dhul gaye apne hi khwaishon se

Apni hi pehchan dhundte lamhe 

Khud hi mit gaye apne hi hathon se

Kaun bada kaun chota

 Kaam se ho ya naam se

Koi chota badha nahi hota

Aan se ho ya Shan se

Haar jeet ka faisla nahi hota


Zindagi main tu hai bada 

To Main bhi kuch kam nahi

Tera jo kadd hai zyada

Chota to main bhi nahi


Issi dhara main gote khate 

Aapas main ladte saare

Leke choti choti baatein 

Tere mere main waqt guzare


Is rassi khench khel ka

Maza lete darshak saare

Matlab in tamashe ka

Kab samjhega mere pyare

बुधवार, 7 जुलाई 2021

Abhiman aur swabhiman

 Maan kitna chota sa shabd

Karta kitne khel

Abhi aur swabhi ke madhya 

Kaisa ajeeb taal mel


Dono ke beech ki lakeer 

Na dikhe na samajh aaye 

Kahan kab ho jaye paar 

Na josh ko hosh aaye 


Le doobe bahut rishtey 

Dono apni is ladai main

Is kheench taan main

Kya jeete tum kya haari main !


Waqt theharta nahi

 Yeh waqt theherta hi nahi

Paani jaise behta jaata 

Kissi ki sunta hi nahi

Jo karna hai karta jaata 


Khushi main yaad aata hai

Gehre gum main bhi

Baat sikhayi jo mujhe waqt ne

Ki yeh waqt theherta hi nahi


Pav rakho apne zameen par 

Udte huye mann ko zara roko 

Lagaam rakho apne sapno par

Kyunki yeh waqt theherta hi nahi


Acha waqt ho ya bura waqt 

Aaya hai to chala hi jayega 

Kissi ke chahne se na ruka waqt 

Woh to guzar hi jayega 


गुरुवार, 1 जुलाई 2021

Rakh se rakh tak

 Tez barish main baithi 

Sunti boondo ki awaz 

Mann ke kone ki ghehrayi 

Khayalon ki bheed ka agaaz 


Logon ke andar ka andhera 

Dhakta achai ki roshni 

Is ladai main kya tera kya mera

Jo bhi jeete hai to dono ki haar hi



Khud main hai aatma vishwas

 ya hai apne mann ka aham 

 Main hun sabse zyada khaas 

 Kaise toote yeh nadaan sa vaham 


Chupa sakte apni galtiyon ko

Dhak ke banavati chaddar se

Par kaise Mita sakta in hisabon ko

Upar wale ki apni kitaab se



Ek hi zindagi mili keemti 

Ek hi milegi sabko maut

6 fut ki hi kabar sabki 

Raakh se uth kar ....

Anth hai rakh hi


सोमवार, 24 मई 2021

Main

 Woh purane raaste 

Woh tooti footi manzilen 

Woh kaante zindagi ke


Aur woh muskurati hui main



Woh haare huye patte

Woh chooti hui dor

Woh amavas ki raaten 


Aur woh ladti hui main


Woh bikhre huye rishtey 

Woh fisalti hui dosti 

Woh aankhon par pade parde 


Aur sambhalti hui main


Haar jeet dekh ke

Har mod se ulajhte huye 

Saanp seedi ke khel main

Kabhi Uthte kabhi girte huye 


Zindagi ko jeeti hui main....

मंगलवार, 16 मार्च 2021

Life : a chess game

 Moving its soldiers n  knights 

Different corners in different strikes

Go around those black and whites


Baby steps with ginger caution

Reminding us of the smallest risks


Camel racing to attack into obliques 

Teaches us to have always 360 deg vision


Elephant showing crass solid strength

And the sudden movement sideway

Makes strong loyal people wonder

Is the the right way


Horse taking the small  but flirty steps

Showing the speed and  presence

Easy to adapt... keep ur head low

An exam that life also fails - and still ..... goes on