Aaye kanha chupke
Saari duniya jab soyi thi
Uske aane ki khabar sunke
Kans ki neenden khoyi thi
Devki ne janna usse
Paala yashoda maiya ne
Pedo ne bachaya dhoop se
Doodh pilaya gaiya ne
Bansuri ki dhun se
Saara ganv chahakta tha
Maati ke kan Kan se
Gopal ka naam mehekta tha
Dhundta raha kans mama
Krishna ko na pakad paaya
Hui har koshish fana
Aisi thi govind ki maaya
Khatam kiya krishna ne
Kans ka ghor atyachar
Thi mukti uski maut main
Hua paap ka sanghar
Andar ke andhakar ko
Khud ki lau hi jalaye
Samjha insaan jo is haar ko
Asli jeet ka matlab wohi samajh paaye

कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें