सोमवार, 16 अगस्त 2021

Moh maaya

 Aaj khushiyon ka taj hai

Kal dukh ka saaya hai 

Itna soch na bande tu

Yeh sab moh maaya hai


Halki kashti ko dekhke 

Dost ne hi usse dubaya hai

Na rishton main ulajh itna

Yeh sab moh maaya hai.



Aaj hai aage tu yaar

Peeche tere Haar ka saaya hai

Pare ho is haar jeet se

Yeh sab moh maaya hai


Hai yeh khel karmo ka

kismet se na paaya hai

Hisaab rakh le bas itna sa

Baaki sab moh maaya hai

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें