Waqt baar baar sikhata raha
Apni ahmiyat , apni keemat
Har pal main dhundta raha
Apni kshamata , apni hakeekath
Chehra dekh ke waqt ka
Guzre zindagi ke lamhe
Dhundti anth is tamas ka
Rooh meri roshni ko tarse
Arzuon ki potli ka badta bhoj
Mann ki stirtha ko dagmagaye
Khusde Ek nayi ladai ladti roj
Gairon ke shastra na chot pahunchaye
Santusht hona apni niyati se
Woh manzil na hai asaan
Raaste ke har kathin mod pe
Apna karma hi apni pehchaan

कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें