सोमवार, 3 अगस्त 2026

 Koi chota badha nahi hota

Aan se ho ya Shan se

Haar jeet ka faisla nahi hota


Zindagi main tu hai bada 

To Main bhi kuch kam nahi

Tera jo kadd hai zyada

Chota to main bhi nahi


Issi dhara main gote khate 

Aapas main ladte saare

Leke choti choti baatein 

Tere mere main waqt guzare



Is rassi khench khel ka

Maza lete darshak saare

Matlab in tamashe ka

Kab samjhega mere pyare


कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें